Friday, 4 July 2014

Definition of 21st Century Muslims By Allama Muhammad Iqbal



Goongi Hoo gai Aaj Zubaan Kuch Kehtay Kehtay ,

Hich Kicha Gya Mein Khud Ko Musalman Kehtay Kehtay ,


Yeh Bat Nahe K Mujh Ko Us Per Yaqeen Nahi ,

Bas Dar Gya Khud Ko Sahib-e-Emaan Kehtay Kehtay ,


Tofeeq Na hoi  Mujhay Ek Waqt Ki Namaz Ki  ,

Aur Chup Howa Moazzin Azaan Kehtay Kehtay ,


Kisi Kafir Ney Jo Pocha K Yh Kya Hai Mahina ,

Sharam Say paanui Howa Mein Ramzaan Kehtay Kehtay ,


Meray Shelf  Mein Gard Say Utt  Kitaab Ka Jo Poocha  ,

Mein Garhh Gya Zameen Mein Quraan Kehtay Kehtay ,


Yeh Sun Kar Cuph Saadh Li "IQBAL" Ney ,

Youn Lga Jesa Ruk gya Ho Mujhay Heywaan Kehtay Kehtay .




0 comments:

Post a Comment