Goongi Hoo gai Aaj Zubaan Kuch Kehtay Kehtay ,
Hich Kicha Gya Mein Khud Ko Musalman Kehtay Kehtay ,
Yeh Bat Nahe K Mujh Ko Us Per Yaqeen Nahi ,
Bas Dar Gya Khud Ko Sahib-e-Emaan Kehtay Kehtay ,
Tofeeq Na hoi Mujhay Ek Waqt Ki Namaz Ki ,
Aur Chup Howa Moazzin Azaan Kehtay Kehtay ,
Kisi Kafir Ney Jo Pocha K Yh Kya Hai Mahina ,
Sharam Say paanui Howa Mein Ramzaan Kehtay Kehtay ,
Meray Shelf Mein Gard Say Utt Kitaab Ka Jo Poocha ,
Mein Garhh Gya Zameen Mein Quraan Kehtay Kehtay ,
Yeh Sun Kar Cuph Saadh Li "IQBAL" Ney ,
Youn Lga Jesa Ruk gya Ho Mujhay Heywaan Kehtay Kehtay .